Thursday, 15 September 2011

TM NY SN LIA HO GA Chahton k mosum main


TM NY SN LIA HO GA
Chahton k mosum main
zahm jo b lg jaay
umar bhar naheen silta
tm ny sn lia ho ga
shehar ki hawaon sy
wo jo aik deewana
aaty jaty rahi ko
raston main milta tha
ub kaheen nahee milta.

Wednesday, 14 September 2011

Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha

Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha
Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha
Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha
Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha
Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha 
Ley douba jab ankhon ko tufan batol
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?

Mera dil mujh se kehta hai Meri dharkan mein koi rehta hai

Mera dil mujh se kehta hai
Meri dharkan mein koi rehta hai

Wo khawab hai ya sapna hai
Wo ghair nahi mera apna hai

Jo raat bhar mujh ko jagata hai
Kuch kehte kehte chup ho jata hai

Meri sochon pe jis ka basera hai
Wo mera hai wo mera hai
Koi kahani koi qisa hai
Wo meri zaat ka hissa hai

Teri yad nhi ati Esi rat nhi ati

Teri yad nhi ati
Esi rat nhi ati

Mjay soaq dedar ka
sorat teri nazar nhi ati

Gum ho gy bher me tum
Awaz tum ko di nhi jati

Dil me bus gy woh zahid
Durkan sumbhali nhi jati

Tuesday, 13 September 2011

"Sahil ki geeli rait pr Main ny us sy pocha Tumhara mashgla kia hai? Wo palkain jhuka kr muskura diya Mujhy likha or mita diya"

"Sahil ki geeli rait pr

Main ny us sy pocha

Tumhara mashgla kia hai?

Wo palkain jhuka kr muskura diya 
Mujhy likha or mita diya"

Tumhara khat mila jana jis main tum ne pucha hai k halat kaise hain mere din or rat kaise hain

Tumhara khat mila jana jis main tum ne pucha hai k halat kaise hain mere din or rat kaise hain.
Tumhein sab kuch bata don ga samjha don ga bs mujhe itna bata do k
kaya kisi sahil k kinare kisi machli ko dekha hai jis ko lehron ne kinare par chor diya ho Mere halat aise hain mere din or rat aise hain

Hath ki Lakheerein

Hath ki Lakheerein ~.


Kaatib-e-Taqdeer ne

Bakht ki seyaahi se

Zindagi ki lauh per

Haar ka ya jeet ka

Jo bhi faisla likha

Woh bhi ek haqeeqat hai

Ghar ki balcony
mein

Beth
kar ghantoo tak

Sochtay rehnay se

Haathoon ki lakeeroon ko

Khojtay rehne se

Woh tau mit nahe sakta

Maan lo taqdeer ko

Zidd karni chor de

Haathoon ki lakeeroon se

Bandhay rishtay torr de

Kyon ke yeh lakeerain tau

Badgumaan karti hain

Yeh lakeerain faqat

Aaray tirchay naqshay hain

Aaray tirchay naqshoon mein

Dar-ba-

Nazar se nazar tum milane se pehle...

Nazar se nazar tum milane se pehle...
Zara soch lo dil lgane se pehle,,,
Zara us k dil main b tum jhank lena
Use raaz dil ka btane se pehle...
Main ye janti hun meri zindgi mein,,,
Koi gham na tha uske aane se pehle..
KHUDA rooth jata he ye soch lena,,,
Kisi ka dil dukhane se pehle.

Zara thehro chalay jana, Mujhe kuch tum se kehna hai

Zara thehro chalay jana, Mujhe kuch tum se kehna hai, Bohat waqt nahin laina, Mukhtasir si baat karni hai, Na dukh apnay sunanay hain, Na koi faryad karni hai, Na ye maloom karna hai k halaat kesay hain, Tumharay humsafar tumharay saath kesay hain, Na ye maloom karna hai k din raat kesay hain, Mujhe bus itna hi kehna hai, Mujhe tum yaad aatay ho, Mujhe tum yaad aatay ho

Monday, 12 September 2011

tum dukhon ke soz ka mosamon ke rog ka

tum dukhon ke soz ka

mosamon ke rog ka

dard mat saha karo

udas mat huwa karo

yeh dard hain hayat ke

kuch rung kainat ke

kuch dukh ki tez BARISHen

kuch phool hein nishat ke

tum phool bus chuna karo

khaar mat chua karo

UDAS MAT HUWA KARO

Tere Siva Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva

Tere Siva
Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Dost To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi
Tere Siva

Zindagi mein baar baar ye mukaam aaye

Zindagi mein baar baar ye
mukaam aaye
Tum hamare – hum tumhare
kaam aaye
Bas itni he dua khuda se ki agle
janm me
tumhare dosto me hamaara
naam aaye…

chand ki simat nazar jaye to kia hota hai

chand ki simat nazar jaye to kia hota hai?

rat kisi ki yad me guzar jaye to kia hota hai?

kitni masom ada se wo mujse pochta hai,

jab koi dil me utar jaye to kia hota hai?

mere mola tu faqat itna bta de usko,

admi jete gi mar jaye to kia hota hai?

kisi anjan sy shakhs ka kisi pichli pehar,

aks ankhon me theher jaye to kia hota hai?

dard dy k mujy wo hansta raha or bola wasi,

dard jab had se guzar jaye to kia hota hai?

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain
woh sitare aksar tOot ke Bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se Mahobbaton ka Dawa to nahi kerte
Haan magar Wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke Hijir bhi ye Guzare ga to kabhi
Mausam ke isi Aas main Guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki Ehmiat se Waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se Sawar jaya kerte hain

MashRoot to nahi Barishoon se Selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne Dukhoon ki Numaish nahi kerte
Bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh AansOo jo palkOon ki zeenat nahi bante
woh Chup chap se Dil main Utar Jaya keRte hain

اب تک وہی خواب ہیں وہی میں

اب تک وہی خواب ہیں وہی میں
وہی میرے گلاب ہیں وہی میں

آنکھوں میں وہی ستارہ آنکھیں
وہی دل میں گلاب ہیں وہی میں

یہ جسم کہ جاں کی تشنگی ہے
وہی تازہ سراب ہیں وہی میں

زندہ ہوں ابھی تو مات کیسی
وہی جاں کے عذاب ہیں وہی میں

کہتی ہے زباں خموشیوں کی
وہی درد کے باب ہیں وہی میں

پڑھتے ہوئے جن کو عمر گزری
وہی چہرے کتاب ہیں وہی میں

لکھتے ہوئے جن کو جان جائے
وہی حرف نصاب ہیں وہی میں

وہی رنجشیں اپنے دوستوں سے
وہی دل کے حساب ہیں وہی میں

آتے ہیں مگر نہیں برستے
وہی تشنہ سحاب ہیں وہی میں

دنیا کے سوال اور دنیا
وہی میرے جواب ہیں وہی میں

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe

Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
                 Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe

Saturday, 3 September 2011

ik khuwab sarhane rakh do na

ik khuwab sarhane rakh do na
tm mj pe anayat kar do na

zara chupke se khamoshi se
tm izhar mhbt kardo na

main payass mein dooba sehra hon
tm mj ko samandar kar do na


meri rahein thori adhori hain
tm in ko mukamaml kardo na

main younhi phirta rehta hon
tm khud ko manzil kardo na

ik khuawab sarhane rakh do na
tm mj pe anayat kar do na

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain woh sitare aksar tOot ke Bikhar jaya kerte hain

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain
woh sitare aksar tOot ke Bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se Mahobbaton ka Dawa to nahi kerte
Haan magar Wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke Hijir bhi ye Guzare ga to kabhi
Mausam ke isi Aas main Guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki Ehmiat se Waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se Sawar jaya kerte hain

MashRoot to nahi Barishoon se Selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne Dukhoon ki Numaish nahi kerte
Bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh AansOo jo palkOon ki zeenat nahi bante
woh Chup chap se Dil main Utar Jaya keRte hain

Yaaden Hain Kuch Aisi Tere Naam Se Wabasta

Yaaden Hain Kuch Aisi Tere Naam Se Wabasta
Her Subha Hai Jaise Her Shaam Se Wabasta

Bus Tere Tasawur Se Fursat He Nahi Milti
Rehti Hain Teri Yaaden Her Saans Se Wabasta

Laakhon Hain Taman'naeyn Per Ek Ye Dua Hai
Bus Naam Rahe Mera Tere Naam Se Wabasta

sard mosam se ghbra kr suraj manga

sard mosam se ghbra kr suraj manga
suraj ki tapash ne jhulsa k rakh dia
barish ki aarzoo ne barbaad kr dia
kacha mera maakan tha,dha k rakh dia

jab hath dua ko uthty hain

jab hath dua ko uthty hain
alfaz kahi khoo jaty hain
bus dheeyan tumhara rehta ha
or aanso behty rehty hain
hr khawbtumhara poora ho
us Rab ki minnat krty hain
hum aesi mohabat krty hain
tum kasi mohabat krty ho
humen thandak raas nahi ati
humen barish se khauf aata ha
pr jis din se maloom hua
ye mausam tumko bhaata ha
ab jb b sawan ata ha
barish me bheegty rehty hain
Hum aesi mohabat krty hain
tum kasi mohabat krty h...

Thursday, 1 September 2011

Ajab pagal C larki hai

Ajab Pagal Si larki hai Mujhay her khat main likhti hai “Mujhay tum yaad kertay ho? Tumhain main yaad aati hooN” mairi baatain sata-ti hain mairi neendain jagati hain mairi aankhain rulaati hain december ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho? kisi khamosh rastay se koi awaaz aati hai? TheTharti serd raatoN main tum

Shab ki tanhai mein ab to aksar

teri khushbu ka pataa karti hai, mujh pay ehsaan hawa karti hai, shab ki tanhai mei ab to aksar, guftagu tujh say raha karti hai, dil ko us raah pay chalna hee nahi, jo mujhay tujh say juda karti hai, zindagi meri thee lekin ab to, teray kehnay mei raha karti hai, us nay dekha

Woh kisi aur se milne ke bahane aye

Kariya-e-jan main koi phool khilne aye wo mere dil pe naya zakhm lagane aye mere wiran darichon main bhi khushbu jage wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye us se ik bar to ruthun main usi ki manind aur meri tarah se wo mujh ko manane aye isi kuche main kai us k shanasa bhi.

Teri Yaad Aaye to Neend Jati Rahti Hai

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti

Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai

Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein

Mera Tan, More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe

Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon, Magar Wo

Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil

Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai

Sarak Ko Chore Kar Chalna Parega

Ke Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab

Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun

Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se

Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii

Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare

Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun

Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din

Monday, 8 August 2011

Dil ne tre bare me pocha to boht roya,

Dil ne tre bare me pocha to boht roya,

wo shaks jo pathar tha toota to boht roya.

Wo dil ki judai k unwan pr brso se,

chup tha to boht chup tha roya to boht roya.

Ik harf tasalli ka ik lafz muhabt ka,

khud apne lye usne likha to boht roya.

Pehle b shkisto'n pr khai thi shkist usne,

lekin wo tere hatho haara to boht roya.

Jo ehd nibhane ki deta tha doa usne,

kal sham muje tanha dekha to boht roya...

Tere hath ki kash main wo Lakeer ban jaun.

Tere hath ki kash main wo Lakeer ban jaun.

Kash main tera muqaddar teri taqdeer ban jaun.

Main tujhe itna chahun k tu bhool jaye har rishta.

Sirf main hi tere har rishtay ki tasweer ban jaun.

Tu Aankhain band kare to Aaun main hi nazar.

Is tarah main tere har khuwab ki taabeer ban jaun...!!

Meri JAN aa meray aangan me

Meri JAN aa meray aangan mein zara sham k bad

Mil k Mangen ge mohabat ki dua sham k bad

Jin ki taqdeer mein khawab nahi neend nahi

Aur letay hain sitaron ki rida sham k bad

Aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana

Main sunaon tujhy, tu apni suna sham k bad

Tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle

Yeh na poocho mera kia haal hua sham k bad

Tum yahan thay to her ek sham saji rehti thi

Ab to lagta hai sham hoti nahi sham k bad...!!

KASH TUM SMJH PATEKITNA CHAHA

KASH TUM SMJH PATE
KITNA CHAHA HA TUM KO
KITNA POJA HA TUM KO
KIS QADAR MOHBT HA
KIS QADAR ZRORT HA
KASH TUM SMJH PATE

JAN YE TMHARI HA
HER KHUSHI TMAHRI HA
DIL LAGE TMHE SE HA
ZINDGI TMHI SE HA
KASH TUM SNJH PATE

ROOH KI ZRORT HO
DIL KI TUM IBADAT HO
MERI TUM MOHBT HO
KASH TUM SMJH PATE

SIRF TUM MOHBT HO
SIRF TUM KO CHAHA HA
SIR TUM HI CHAHT HO "ROSE G"
KASH TUM SMJH PATE

Dekh me tum “Se kitna

Dekh me tum “Se kitna “PIYAR” karta hon,

Me Banata hon kagaz pe teri taswerein.

Phir un Se Batein “HAZAAR” karta hon,

Tere Dukh bhi khuloos-E-Niyat “Se,

Apne dukhon me “ShUmAR” karta hon,

“Sach “Samjhta hon jhoot Bhi tera,

Youn me tera “AiTBaR” karta hon,

Aj “Bhi “Sochta hon to meri ankhen “Bheeg jati hain.

Ay meri jan me tum “Se itna “PiYAR” karta hon….

TanHa Lamhay

Mein raat bhaar rota raha
Khuli ankhon sotta raha
Nikalte ansoon se mein
Apna taan yoon hi bhigota raha

Ek ek ansoo kutch kehta raha

Diye us dard ko mein
Raat raat bhaar sehta raha

Badi shiddat se chaha tha tujhko

Kutch jhoote sapne mein sujota raha
Tere pyaar mein apni jindagi
Ko Mein yoon hi pirota raha

Teri hansi ko apni hansi banata raha

Tere dard ko mein apnata raha
Tere pyaar ki ek umeed ko
Sapno mein sajatta raha

Mila to sirf tanhai ka aalam

Mein dil ko jhoote sapne dikhata raha
Tu aayegi mujhe manane
Mein is dil ko sunata raha

Toot ke bikhaar chukka hoon ab

Tere diye jhakkam sehlata raha
Tu meri nahi rahi ab
Is dil ko yahi yakeen dilata raha,,

Meri Muhabt

door tha mera kawab tha
mila to tabeer nazar ati

hath pakaray muhabat ki batein kartay

guzar gaye ratein to judae nazer ati

yaqeen donu ko tha,muklis thy hum

mager hasratein uksati to bawafae nazer ati

wo jesa ha mera ha

per usay ma tasweer nazer ati

ander ka insan jgta ha mrta ha

muja her shay ma baruki nazer ati

door hu,aztarabee ma hu,yad kru to

muja wo kubsurat anken nazer ati

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Koi lamha ho teri yad min kho jate hen.
Ab to khud ko bhi mayasar nhi a pate hen.

Rat ho din ho tere pyar min hum behte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Jo bhi gham aye use dil pe saha karte the.

Aik wo waqt tha hum mil k raha karte the.
Ab akele hi zamane k sitam sehte hen.

Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Hum ne khud hi apne raste min bichae kante.
Ghar min phoolon ki jaga la k sajae kante.

Zakham is dil min basae hoe khud rehte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Yon to dunya ki har aik cheez haseen hoti he.

Pyar se barh kar magar kuch bhi nhi hoti he.
Rasta rok k har aik se yehi kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to…

Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,

Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti........ .
Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi kambakht jeene ke liye zindagi de di.

Thursday, 28 July 2011

Wo Kehta Hai "Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?"

Wo Kehta Hai
"Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?"

Main Kehti Hoon
"Zara Mujh Ko Manao
...Acha Lagta Hai..."

Wo Kehta Hai
"Mera Dil Tum Say Aakhir Kyun Nahe Bharta..?"

Main Kehti Hoon
"Muhabat Ki Koi Had Hi Nahe Hoti..."

Wo Kehta Hai
"Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gaya Itna..?"

Main Kehti Hoon
"Meri Jan Hadsay To Ho Hi Jatay Hain..."

Wo Kehta Hai
"Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To..?"

Main Kehti Hoon
"Mujhe Dar Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gay..?

انھیں کھو کر دکھے دل کی دُعا سے اور کیا مانگوں

انھیں کھو کر دکھے دل کی دُعا سے اور کیا مانگوں
میں حیراں ہُوں کہ آج اپنی وفا سے اور کیا مانگوں

گریباں چاک ہے، آنکھوں میں آنسو، لب پہ آہیں ہیں
یہی کافی ہے دُنیا کی ہَوا سے اور کیا مانگوں

مِری بربادیوں کی داستاں ان تک پہنچ جائے
سِوا اس کی محبت کے خُدا سے اور کیا مانگوں

Thursday, 21 July 2011

Woh ajeeb mousam tha

Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par
Apne khawab likhe the
Ham ne khawab dekhe the
Ankahi kahani k
Haruf sab duaa se the
Dard k bulawe the
Dil ki humrani thi
Duur afaq kanaron tak
Rahguzar hamari thi
Angint zamano main
Sans le rahe the ham
Ajnabi jazeron main
Naqshpa hamare the
Aankh main theen tahreren
Bepanah jalwon ki
Chandni k lahjye ne
Ham se guftgu ki thi
Zindagi ka har manzer
Lamha lamha jaga tha
Pahli baar hi ham ne
Zindagi ko dekha tha
Rooz wa shab k male main
Khawab hi to sache the
Khoof hay to itna hay
Faasloon k junghal main
Khawab kho bhi jate hain

wo apni uljanein

“kabi jo hum nahi hon gay…
kaho kis ko batao gay…
wo apni uljanein sari..
wo becheini main doobe pal….
wo aankhon main chupe aansu…
kise phir tum dikhao gay…
kabi jo hum nahi hon gay…
boht bechan hon gay…
boht tanha reh jao gay…
abi b tum nahi samjhay…
humari ankahi batain…
mgr jab yaad aayein gay…
boht tum ko rulayein gay…
boht chaho gay phir b…
hamay na doond pao gay…!!

Ajab din the Qurbatoo k Faasloo ki thi Ajab Daastaan

Ajab din the Qurbatoo k
Faasloo ki thi Ajab Daastaan
Rahe -e-Azal jo mera tha
Aaj Phr wohi hai mjhse kuch U anjaan
Adab tha jiska tha me dewana
Shama ki maanind brhta uski jaanib ik Lachaar sa parwaana
Bheerh me mile jo musafir Hm unhe Apna smjhe
Be yaaro madadgaar lote Be faryaad-o- Jo thehre

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!

Wednesday, 6 July 2011

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon
ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon
har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon
duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon
pahale pahal ka ishq abhi yad hai ‘Faraz’
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa
ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai
kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai
wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai
‘Faraz’ sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise
apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise
manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise
kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise
aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai ‘Faraz’
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz’
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain