Thursday, 28 July 2011

Wo Kehta Hai "Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?"

Wo Kehta Hai
"Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?"

Main Kehti Hoon
"Zara Mujh Ko Manao
...Acha Lagta Hai..."

Wo Kehta Hai
"Mera Dil Tum Say Aakhir Kyun Nahe Bharta..?"

Main Kehti Hoon
"Muhabat Ki Koi Had Hi Nahe Hoti..."

Wo Kehta Hai
"Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gaya Itna..?"

Main Kehti Hoon
"Meri Jan Hadsay To Ho Hi Jatay Hain..."

Wo Kehta Hai
"Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To..?"

Main Kehti Hoon
"Mujhe Dar Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gay..?

انھیں کھو کر دکھے دل کی دُعا سے اور کیا مانگوں

انھیں کھو کر دکھے دل کی دُعا سے اور کیا مانگوں
میں حیراں ہُوں کہ آج اپنی وفا سے اور کیا مانگوں

گریباں چاک ہے، آنکھوں میں آنسو، لب پہ آہیں ہیں
یہی کافی ہے دُنیا کی ہَوا سے اور کیا مانگوں

مِری بربادیوں کی داستاں ان تک پہنچ جائے
سِوا اس کی محبت کے خُدا سے اور کیا مانگوں

Thursday, 21 July 2011

Woh ajeeb mousam tha

Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par
Apne khawab likhe the
Ham ne khawab dekhe the
Ankahi kahani k
Haruf sab duaa se the
Dard k bulawe the
Dil ki humrani thi
Duur afaq kanaron tak
Rahguzar hamari thi
Angint zamano main
Sans le rahe the ham
Ajnabi jazeron main
Naqshpa hamare the
Aankh main theen tahreren
Bepanah jalwon ki
Chandni k lahjye ne
Ham se guftgu ki thi
Zindagi ka har manzer
Lamha lamha jaga tha
Pahli baar hi ham ne
Zindagi ko dekha tha
Rooz wa shab k male main
Khawab hi to sache the
Khoof hay to itna hay
Faasloon k junghal main
Khawab kho bhi jate hain

wo apni uljanein

“kabi jo hum nahi hon gay…
kaho kis ko batao gay…
wo apni uljanein sari..
wo becheini main doobe pal….
wo aankhon main chupe aansu…
kise phir tum dikhao gay…
kabi jo hum nahi hon gay…
boht bechan hon gay…
boht tanha reh jao gay…
abi b tum nahi samjhay…
humari ankahi batain…
mgr jab yaad aayein gay…
boht tum ko rulayein gay…
boht chaho gay phir b…
hamay na doond pao gay…!!

Ajab din the Qurbatoo k Faasloo ki thi Ajab Daastaan

Ajab din the Qurbatoo k
Faasloo ki thi Ajab Daastaan
Rahe -e-Azal jo mera tha
Aaj Phr wohi hai mjhse kuch U anjaan
Adab tha jiska tha me dewana
Shama ki maanind brhta uski jaanib ik Lachaar sa parwaana
Bheerh me mile jo musafir Hm unhe Apna smjhe
Be yaaro madadgaar lote Be faryaad-o- Jo thehre

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!

Wednesday, 6 July 2011

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon
ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon
har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon
duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon
pahale pahal ka ishq abhi yad hai ‘Faraz’
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa
ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai
kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai
wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai
‘Faraz’ sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise
apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise
manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise
kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise
aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai ‘Faraz’
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz’
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

Tuesday, 5 July 2011

aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa

aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Zindagi Yun Teri Chahat K Naam Kr Di | Authspot

Zindagi Yun Teri Chahat K Naam Kr Di | Authspot

Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh kurty hen


Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh kurty hen
Jo tou nahi tu ojaaly bhe sogh kurty hen
Tomhary Hath ki chori bhe bain kurti hey
Humary honth kay naaly bhe sogh kurty hen
Nughur Nughur bekhry hen Zolm kay Munzur
Humari Rooh kay chaaly bhe sogh kurty hen
Ossy kaho kay Sittum meah koch kumi kur day
Kay zolm torny walay bhe Sogh kurty hen
Tom apny dokh pay akaly nahi ho Afsordah
Tomary chahany waaly bhe Sogh kurty hen

tum meri ankh k tewar na bhula paoge

tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga
ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga
isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga
sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga
ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga
shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga
aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga
hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga
is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

Dil Ki Cho’khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai

 
Dil Ki Cho’khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai
Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai
Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai
Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai
Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai
Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror
Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai
Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai
Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay
Dil Ne Mud’dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai
Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam
Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.!

Wo mairay alfaaz se hairaan rahta tha

Wo mairay alfaaz se hairaan rahta tha.

Main us k zoque se paraishaan rahta tha!

Be-wafa to keh dea tha sar-e-aam us ne.

Phir na jaanay keon khud he pashaimaan rahta tha!

Suna hai k poocha tha kisi ne mairay baaray main us se.

Kaha us ne k haan dill main ek nadaan rahta tha!

Wasi ham kaisay us ke ruswaee karain?

Jis par kabhe hamara emaan rahta tha!!!

Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho


Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho…
Na Bantey Hoo, Sanwertey Ho…
Na Koi baat Kartey Ho…
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar!
Hamesha Khoye Rehtey Ho…
Udasi Ankh Main Bharr Kar…
Har Ik Chehrey Ko Taktey Ho!
Koi jab Yaad Ata Ha…
To Thandee Aah Bhartey Ho!
To Khul Kar Kyun Nahin Kehtey…
Kisi Sey Pyaar kartey ho ……