poem urdu
Thursday, 15 September 2011
Wednesday, 14 September 2011
Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha
Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha
Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha
Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha
Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha
Ley douba jab ankhon ko tufan batol
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha
Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha
Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha
Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha
Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha
Ley douba jab ankhon ko tufan batol
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?
Tuesday, 13 September 2011
Tumhara khat mila jana jis main tum ne pucha hai k halat kaise hain mere din or rat kaise hain
Tumhara khat mila jana jis main tum ne pucha hai k halat kaise hain mere din or rat kaise hain.
Tumhein sab kuch bata don ga samjha don ga bs mujhe itna bata do k
kaya kisi sahil k kinare kisi machli ko dekha hai jis ko lehron ne kinare par chor diya ho Mere halat aise hain mere din or rat aise hain
Tumhein sab kuch bata don ga samjha don ga bs mujhe itna bata do k
kaya kisi sahil k kinare kisi machli ko dekha hai jis ko lehron ne kinare par chor diya ho Mere halat aise hain mere din or rat aise hain
Hath ki Lakheerein
Hath ki Lakheerein ~.
Kaatib-e-Taqdeer ne
Bakht ki seyaahi se
Zindagi ki lauh per
Haar ka ya jeet ka
Jo bhi faisla likha
Woh bhi ek haqeeqat hai
Ghar ki balcony mein
Beth kar ghantoo tak
Sochtay rehnay se
Haathoon ki lakeeroon ko
Khojtay rehne se
Woh tau mit nahe sakta
Maan lo taqdeer ko
Zidd karni chor de
Haathoon ki lakeeroon se
Bandhay rishtay torr de
Kyon ke yeh lakeerain tau
Badgumaan karti hain
Yeh lakeerain faqat
Aaray tirchay naqshay hain
Aaray tirchay naqshoon mein
Dar-ba-
Kaatib-e-Taqdeer ne
Bakht ki seyaahi se
Zindagi ki lauh per
Haar ka ya jeet ka
Jo bhi faisla likha
Woh bhi ek haqeeqat hai
Ghar ki balcony mein
Beth kar ghantoo tak
Sochtay rehnay se
Haathoon ki lakeeroon ko
Khojtay rehne se
Woh tau mit nahe sakta
Maan lo taqdeer ko
Zidd karni chor de
Haathoon ki lakeeroon se
Bandhay rishtay torr de
Kyon ke yeh lakeerain tau
Badgumaan karti hain
Yeh lakeerain faqat
Aaray tirchay naqshay hain
Aaray tirchay naqshoon mein
Dar-ba-
Subscribe to:
Posts (Atom)