Monday, 8 August 2011

Dil ne tre bare me pocha to boht roya,

Dil ne tre bare me pocha to boht roya,

wo shaks jo pathar tha toota to boht roya.

Wo dil ki judai k unwan pr brso se,

chup tha to boht chup tha roya to boht roya.

Ik harf tasalli ka ik lafz muhabt ka,

khud apne lye usne likha to boht roya.

Pehle b shkisto'n pr khai thi shkist usne,

lekin wo tere hatho haara to boht roya.

Jo ehd nibhane ki deta tha doa usne,

kal sham muje tanha dekha to boht roya...

Tere hath ki kash main wo Lakeer ban jaun.

Tere hath ki kash main wo Lakeer ban jaun.

Kash main tera muqaddar teri taqdeer ban jaun.

Main tujhe itna chahun k tu bhool jaye har rishta.

Sirf main hi tere har rishtay ki tasweer ban jaun.

Tu Aankhain band kare to Aaun main hi nazar.

Is tarah main tere har khuwab ki taabeer ban jaun...!!

Meri JAN aa meray aangan me

Meri JAN aa meray aangan mein zara sham k bad

Mil k Mangen ge mohabat ki dua sham k bad

Jin ki taqdeer mein khawab nahi neend nahi

Aur letay hain sitaron ki rida sham k bad

Aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana

Main sunaon tujhy, tu apni suna sham k bad

Tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle

Yeh na poocho mera kia haal hua sham k bad

Tum yahan thay to her ek sham saji rehti thi

Ab to lagta hai sham hoti nahi sham k bad...!!

KASH TUM SMJH PATEKITNA CHAHA

KASH TUM SMJH PATE
KITNA CHAHA HA TUM KO
KITNA POJA HA TUM KO
KIS QADAR MOHBT HA
KIS QADAR ZRORT HA
KASH TUM SMJH PATE

JAN YE TMHARI HA
HER KHUSHI TMAHRI HA
DIL LAGE TMHE SE HA
ZINDGI TMHI SE HA
KASH TUM SNJH PATE

ROOH KI ZRORT HO
DIL KI TUM IBADAT HO
MERI TUM MOHBT HO
KASH TUM SMJH PATE

SIRF TUM MOHBT HO
SIRF TUM KO CHAHA HA
SIR TUM HI CHAHT HO "ROSE G"
KASH TUM SMJH PATE

Dekh me tum “Se kitna

Dekh me tum “Se kitna “PIYAR” karta hon,

Me Banata hon kagaz pe teri taswerein.

Phir un Se Batein “HAZAAR” karta hon,

Tere Dukh bhi khuloos-E-Niyat “Se,

Apne dukhon me “ShUmAR” karta hon,

“Sach “Samjhta hon jhoot Bhi tera,

Youn me tera “AiTBaR” karta hon,

Aj “Bhi “Sochta hon to meri ankhen “Bheeg jati hain.

Ay meri jan me tum “Se itna “PiYAR” karta hon….

TanHa Lamhay

Mein raat bhaar rota raha
Khuli ankhon sotta raha
Nikalte ansoon se mein
Apna taan yoon hi bhigota raha

Ek ek ansoo kutch kehta raha

Diye us dard ko mein
Raat raat bhaar sehta raha

Badi shiddat se chaha tha tujhko

Kutch jhoote sapne mein sujota raha
Tere pyaar mein apni jindagi
Ko Mein yoon hi pirota raha

Teri hansi ko apni hansi banata raha

Tere dard ko mein apnata raha
Tere pyaar ki ek umeed ko
Sapno mein sajatta raha

Mila to sirf tanhai ka aalam

Mein dil ko jhoote sapne dikhata raha
Tu aayegi mujhe manane
Mein is dil ko sunata raha

Toot ke bikhaar chukka hoon ab

Tere diye jhakkam sehlata raha
Tu meri nahi rahi ab
Is dil ko yahi yakeen dilata raha,,

Meri Muhabt

door tha mera kawab tha
mila to tabeer nazar ati

hath pakaray muhabat ki batein kartay

guzar gaye ratein to judae nazer ati

yaqeen donu ko tha,muklis thy hum

mager hasratein uksati to bawafae nazer ati

wo jesa ha mera ha

per usay ma tasweer nazer ati

ander ka insan jgta ha mrta ha

muja her shay ma baruki nazer ati

door hu,aztarabee ma hu,yad kru to

muja wo kubsurat anken nazer ati

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Koi lamha ho teri yad min kho jate hen.
Ab to khud ko bhi mayasar nhi a pate hen.

Rat ho din ho tere pyar min hum behte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Jo bhi gham aye use dil pe saha karte the.

Aik wo waqt tha hum mil k raha karte the.
Ab akele hi zamane k sitam sehte hen.

Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Hum ne khud hi apne raste min bichae kante.
Ghar min phoolon ki jaga la k sajae kante.

Zakham is dil min basae hoe khud rehte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Yon to dunya ki har aik cheez haseen hoti he.

Pyar se barh kar magar kuch bhi nhi hoti he.
Rasta rok k har aik se yehi kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to…

Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,

Is jahaan mein mohabbat kaash na hoti,
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti........ .
Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi kambakht jeene ke liye zindagi de di.